Translate

Friday, 14 December 2012

Qismat



Sab qismato ki uljhan hay
Hatho ki lakeero ka khail hay
Kahi pay hay judai
To kahi do dilo ka mail hay

Koi mohabbatto ko taras raha
Kisi ko manzilo ki talash hay
Koi kyo kar lab hila sakay
Yeh maqdaaro ka khail hay

Har koi hairan hay
Apnay muqaddar say anjaan hay
Aik dua ka zara hay aasra
Yeh kaisi rail pail hay

Tera dukh mujhay nahi hay kam
Iskay siwa nahi koi ghum
Wo jo deewar say hay lagi hoi
Teri yaadoon ki barhti bail hay

...................................................................................................................

No comments:

Post a Comment