Translate

Tuesday, 4 September 2012

Barish or Dua


Yeh barish bhi to dua k jaisi hay
Jaisay musalsal dua karna qubooliat Kay aaitibaar ko barhaata hay 
Usi tarha yeh musalsal barasta paani--- 
Jaisay barhta hoa bharosa
Jaisay musalsal khushio ki barsaat
Jaisay rahmat Ka na tootnay Wala silsila

Yeh badan par parti boonday jaisay Khuda ki thapthapi ho
Jaisay wo boond Boond dilaasa day raha ho
Apnay wujood Ka ahsaas dila raha ho--- 
Yeh badalo ki garaj wo mayoosi k lamhay hay
K Jin k baad sirf rehmat barsti hay.. 
Musalsal rehmat 
Yeh badal ki garaj bura waqt tal jaanay ki naveed hi to hay 
Yeh barish or dua aik hi jaisi hay

........................................................................................................................................

No comments:

Post a Comment