Yeh jo tumharay pehlu mein kahmosh baitha hay
Jo chup chap tumharay dard-o-gham sehta hay
Jab milay thori fursat to mahsoos karo,
Yeh tum say chupkay chupkay kuch kehta hay
Mohabbat aksar dabay pao dakhil hoa karti hay
Tumhay najanay konsi dastak ka intizaar rehta hay
Tum gham-e-jahan kay masaib may uljh gaiy ho warna,
Mohabbat ka ik darya tumharay andar bhi behta hay
Tum bhi aam insaan ho auro ki tarha
Tumhay bhi aik humsafar ka intizaar rehta hay
Tumhari ana,masrofiat or tumhara kaam,
Tumhay kabhi aik ka kabhi doosray ka khayal rehta hay
Yeh jo hook si uthti hay fursat kay chand lamho may
Or saath adhoray pan ka ahsaas rehta hay
Yeh ahsaa-e-ta'aluq baiwajah nahi aay dost,
Is nazar ko tumhara intizaar rehta hay
.......................................................................................................